Aey sabz gunbad waale, manzuur du’a karna
Jab waqt naza’eye deedar ataa karna
Aey noor-e-khuda aa kar, ankhoon mein smaa jaana
Yaan dar pe bulaa lena, yaan khwab mein aa jaana
Aey pardah nashin dil ke, parde mein rahaa karna
Jab waqt naza’ey didaar ataa karna
Mahbub-e-ilaahi sa koi na hasin dekha
Yeh shaan hai un ki, sayah bhi nahin deikha*
Allah ne saey ko, chaha na juda karna
Jab waqt naza’ey didar ataa karna
Main qabr andheri main, gabrahon gaa jab tanha
Imdaad meri karna, aa jana zara shaha
Roshan meri turbat ko, lillah zara karna
Jab waqt naza’eye deedar ataa karna
Chehre se ziya pa’i, in chaand sitaroon ne
Is dar se shiifa pai, dukh dard ke maroon ne
Aata hai inhen Sabir, har dukh hi dawa karna
Jab waqt naza’ey diidar ataa karna
Aey sabz gunbad waale, manzur du’a karna
Jab waqt naza’ey didaar ‘ataa karna
No comments:
Post a Comment